Tuesday, May 15, 2012

..... PAYAR SAY PHIR KYU DARTA HAY DIL

KABHI socha HAY ki KYU kisi KO kho DAYNAY ki TIS kisi KO pa LAYNAY ki KHUSHI say Jada asar RAKHTI hay?

 HAR kisi KI zindagi MAY kisi KO pa LAYNAY ki UTKASHTA hoti HAY, jo MANJIL tak NAHI pahuch PANAY k DARD ki SHAKAL may HAMESHA zinda rehayti HAY. chahay kuch BHI HO prem AAP k ANTARMAAN ko NAYE paribhasha DAYTA hay.
                        
                           RADHA aur KRISHN k NAAM ek HI pannay PAR likhay HAY, farak BAS itna HAY ki DONO ek DUSARAY k PICHAY likhay HAY.sath BHI hay, JUDA bhi NAHI aur JUDA bhi. THIK easi HI hay ISHQ ki KAYENATH, jismay AAP jisay KHO daytay HAY vo AAP K JAHANO- dil MAY EASA bas JATA hay KI aap USKAY sath BHI hay aur JUDA bhi. IS adhuri MOHABBAT nay HI haymay GALIB, phirak JASAY aazim SHYAR diye HAY. unkay ALPHAZO may ISHQ k MAYENAY aur NIKHAR kar AATAY hay.
                        
                              HAMESHA kisi Ki ha SAY ya KISI ke PAHALU may ZINDIGI gujaraney SAY hi ISHQ pura NAHI hota. ISHQ honay SAY pahelay KYA is BAAT ki SHRAT rakhi JA sakiti HAY ki AAP jisko CHAHAY vo TAUMAR aap K paas REHAY? AAP ka US shaqs SAY ayesaso KA judao HAY jo UMAR ya FASALO say KABI nahi mitpata.
                             
                              JIVAN k HAR Modh par JAB aap THODI DEER ruk KAR unhay YAAD kerangay TO vah CHEHARA aapka PICHA karta NAJAR aayega. EASA hona AAP ki aanay WALI zindagi PAR ashar DALAY easa bhi JARURI nahi HAY. vo JO pichay  CHOOT gaya USKO aap WAPAS to NAHI la SAKTAY, lakin USKI yaadein SAHEJ kar AANAY wali ZINDAGI may WAHI rang BHAR saktay HAY. ye BAAT sach HAY ki AATIT aacha HO ya BURA, aagay chalkar Dukh hi HOTA hay.
                                AHMAD faraz NAY apnay SEER may KHUBSURATI say KAHA hay :
                    "Us shaks ko bichranay ka salika bhi nahi,
                      jatay huye khud ko mayray paas chor gaya"

                         ZINDAGI is falsafay SAY puri HO jati, LAKIN ishq KABI khud PURA nahi HOTA. dil KO dilo SAY jornay WALA ye EAHASAS dilo MAY nami BHI bhar DAYTA hay. HAR fasana  BAHUT mithay DARD say SURU hota HAY, lakin JARURI nahi KI easay EAHASAS par HI khatam HO.

                         kahaniyan ANCHAHI chubati TIS par KHATAM ho JATI hay. EASAY may LAGATA hay DUNIYA mmay KUCH bhi NAHI bacha. SAB kuch KHATAM ho GAYA lakin YEHI say AAPKI mohabbat AAP ki PREDHNA  ban JATI hay AAP ki SOCHNAY ki SHAKTI badal  JATI hay. YE easa WAQTH hota HAY jab SAB kuch TUTHNAY lagata HAY lakin AAP k ANDAR srijan NAYE angraye LAYTA hay.

                         PAYAR may SAB say MUSHKIL lambha TAB hota HAY jab WAQTH ki SIDIYO par VO kabhi BATHAY mil JAYE. tab PHIR kya KIJIYEGA, muh PEER kar CHL dijiyega  YA mukalat KIJIYEGA? unki DAYHAYLIZ par NA janay KI kasam TO aapnay KHA ye HI hogi, LAKIN RA may HI takara GAY to KYA kijiyega? BHALAY hi WAQTH aur HALAT nay DONO k BICH  kafi FASANA bana DAYTAY hay LAKIN sach TO ye HI  hay KI ek DUSARAY ko AAP dono NAY kabhi BHULAYA hi NAHI. ya YU kahay KI payar MAY kisi KO bhulaya HI nahi JA sakta YE asambhav HAY.

                      ISI hal KO KISI shayar NAY bayan KIYA hay:

                   "muddatein guzari , tayri yaad na aaye hamay,
                    aur ham bhul gay ho tujay , easa bhi nahi"