Idhar khabar aaye hay ki love bada hi marak ho gay hay, janlayva ho gaya hay. khojbin karnay walo nay paya hay ki aatankwad bhi utnay logo ki jaan nahi lay raha jitna love lay rahay hay. Ab aatankwad kay sakta hay ki mujhay to baymatlab hi badnaaam kiya ja raha hay varna aap bata do kaun kam hay. Pichlay dino Anna nay hi kaha tha ki aatankwad utna khatarnaak nahi hay jitna ki bhrastachar hay. Koshish karo to aur bhi chiz nikal aayegi jo aatankwad say jada khatarnak aur jada marak lagaygi, jaysay bhuk aur garibi.
khayar, love ko log chahay kitna hi masum manay vo hamesha hi khatarnak raha hay. Uttar Bharat k gaon may kinay hi nojawan ladkay ladkiyon nay love kiya aur izzat ki bhet chad gay. Panchyat choro, dakuon aur badmasho kay khilaf parmaan nahi sunatay, fatwa jari nahi kartay, dusaray mamlo may maut ki saja sunanay ka hak sirf Adalat ko hay, par mamla agar love ka ho to ye panchyat bhi maut ki saja suna dayti hay. Aur pura gaon unki maut ka tamasha dhakta hay.
Idhar sehar may to ishq ekdam hi kamina ho gaya hay. Love kay naam par goliya chalayi ja rahi hay. Chaku maray ja rehay hay. Tezaab phayka ja raha hay. Jispar martay hay uski ko martay hay.
Sachmuch ye to aag ka dariya hay. easay may aatankwad ko lagay haat mukadama kar dayna chahiye ki duniya may love par hi sab say jada film bani hay, batao aatnkwaad par kini bani. Love par hi sabsay jada ganay likhya aur gaye jatay hay, aatnkwaad par batao kitnay ganay likhay gay..........
No comments:
Post a Comment